Dil Se Jo Baat Nikalti Hai,
Asar Rakhti Hai
Par Nahin, Taaqat-e-Parwaaz
Magar Rakhti Hai
Aankg Jo Kuch Dekhti Hai Lab Pe Aa Sakta Nahi
Mahv-e Hairat Hun Keh Dunya Kya Se Kya Ho Jaye Gi
Taskeen na ho jis se wo raaz badal dalo
Jo raaz na rakh paye hamraaz badal dalo
Tum ne b suni ho gi bari aam kahawat hy
Anjam ka jo ho khatra aghaz badal dalo
Pur-soz dilon ko jo muskan na de paye
Sur hi na mile jis mai wo saaz badal dalo
Dushman k iradon ko hy zahir agar karna
Tum khel wohi khelo andaz badal dalo
Ay dost karo himat kuch door sawera hy
Agar chahte ho manzil tu parwaaz badal dalo
*************************
yarab yeh jahan-e guzran khub hai lekin
kiun khawar hain mardane safa cash-o-hunar mand
apne bhi khafa mujh se hain begane bhi nakhush
main zahbar-e halahal ko kabhi kah na saka qand
*************************
uth keh ab bazme jahan ka aur hi andaz hai
mashriq-o-maghrib mein tere dor ka aaghaz hai
tere sine mein hi poshida raz-e zindagi kahde
musalma.n se hadees-e sozo saz-e zindagi kehdo
*************************
Koi andaza kar skta hai us ke Zor e Bazu ka
Nigah e Mard Momin se badal jati hain Taqdeer
*************************
Jafa jo Ishq mein hoti hai woh Jafa hi nahi
Sitam na ho to Muhabbat mein kuch Maza hi nahi
*************************
Allah se kare door, to Taleem bhi Fitna
Imlak bhi Aulaad bhi Jageer bhi Fitna
Nahaq ke liye uthe to Shamsheer bhi Fitna
Shamsheer hi kia Narah Takbeer bhi Fitna
*************************
Yeh Faizan e nazar tha ya keh Maktab ki Karamat thi
Sikhaye kis ne Ismail ko Aadab e Farzandi
*************************
Apni hi Mitti par chalne ka Saliqa sikho
Sang Marmar par chalo gay to Phisal jao gay
Apne Parcham ka rung tum bhula mat dena
Surkh sholon se khelo gay to Jal jao gay
*************************
No comments:
Post a Comment