analatics //ads Zulfein Poetry - poetry web 2 //adds

Wednesday 4 September 2019

Zulfein Poetry

Khushbo kahin na jaye yeh israr hai buhat
Aur yeh bhi aarzu keh zara zulf kholye

************************** 


Rung perahan ka khushboo zulf lehrane ka naam
Mosam e Gul hai tumhare baam par aane ka naam


************************** 

Zulfon ko dia hai rukh e zeba ne ajab rung
Jalwon se tere aur bhi roshan huye saye

************************** 

Aarzu hai keh use ghor se takta jaon
Sans ruk jaye meri is ki ibadat karte 
Is ki zulfein, lab o rukhsar the aur hath mere
Kat gaye wasal k lamhe yun sharart karte

************************** 

Sar se girti hain to shanon peh bikhar jati hain
Tum ne zulfon ko bara sar pe chara rakha hai

************************** 

Ghani zulfon k saye mein chamakta chand sa chehra
Tujhe dekhon to kuch ratein sohani yaad aati hain

************************** 

Dil pe qaboo ho to hum bhi sar e mehfil dekhein
Woh kham e zulf hai kia surat zeba kia hai

************************** 

zulfein bikher de keh zamane ko ilm ho
zulmat haseen tar hai shab mahtab se

************************** 

Poocha jo in se chand nikalta hai kis tarah 
Zulfon ko rukh pe dal k jhatka dia keh yun

************************** 

Tum ne zulfein bikher di hon gi
Aik khushboo si hai hawaon mein

************************** 

Jab ulajhti hai to kuch aur sawr jati hai
Zindagi bhi hai teri zulf e pareshan ki tarah

************************** 

Aye zulf sanam aa tujhe sine se laga lein
Teri hi tarah hum bhi pareshan buhat hain

************************** 

Jo dekhte teri znjeer zulf ka aalam 
Aseer hone ki aazad aarzu karte

************************** 

Chehre pe mere zulf ko pheilao kisi din 
Kia roz garjte ho baras jao kisi din
Razon ki tarah utro mere dil mein kisi shab 
Dastak peh mere hath ki khil jao kisi din

************************** 

Teri zulfein bhi pareshan hain mere dil ki tarah 
Tub hi kuch der mere sath raha ho jaise

************************** 

Kehte hain keh chup chap se rehte hain woh aksar
Zulfein bhi suna hai keh sanwara nahi karte
Din raat keh in k guzarte hain pareshan
Aaram se hum bhi to guzara nahi karte

************************** 

Zulfein sanwarne se bane gi na koi baat
Uthye kisi ghareeb ki qismat sanwarye

************************** 

Chashm e purnam khareed sakta hon
Zulf barhum khareed skta hon
Tu agar apna banale mujh ko 
Tera har gham khareed skta hon

************************** 

Andaz apna dekhte hain aaine mein vo
Zulfein sanwar kar kabhi zulfein bigar kar 


************************** 

Is darjah mutmain hai vo zulfein sanwar k
jaise sada rahein ge zamane bahar k

************************** 

Tere chehre k yeh sada se chote se naqoosh
Mere takhaiyul ko kia rung ata karte hain
Teri zulfein teri aankhein tere aariz tere hont
Keisi anjani si masoom khata karte hain

**************************

No comments:

Post a Comment