analatics //ads Urdu love romantic poetry urdu poetry - poetry web 2 //adds

Thursday 5 December 2019

Urdu love romantic poetry urdu poetry

Kamp Uthti Hooon Main Ye Sooch Ke Tanhai Mai
Mere Chehre Pey Tera Naam Na Parh Le Koi

Raat Ke Shayad aek Baje Hain
Sota Hoga Mera Chaand

Jaise Ho Umar Bhaar Ka Asasa Ghareeb Ka
Kuch Is Tarah Sey Main Ne Sambhale Tumhare Khat

Ab Kar K Faramoosh To Nashad Karooge
Par Hum Jo Na Honge To Bohut Yaad Karoge


Un Ke Dekhne Se Jo Aa Jaati Hai Munh Par Ronaq,
Wo Samajhte Hain Ke Bimar KA Hal Acha Hai


Taab Laaye Hi Banegi ‘Ghaalib’
Waqia Sakht Hai Aur Jaan Aziz..


Kahan Mai-Khana Ka Darwaza ‘Ghaalib’ Aur Kahan Waiz
Par Itna Jantay Hain Kal Wo Jaata Tha K Hum Nikle


Log Kehte Hain Tum Thora Badal Gaye Ho,
Batao Tute Huye Patte Rang Bhi Na Badle Kya?

Ajab Saneha Hai K Itni Be Rukhy K Bawajood Bhi
Woh Sang Dil,
Mere Dil Main Utarta Gaya, Mere Dil Se Nahi Utara

No comments:

Post a Comment