Aankh Ke Is Ishare Se Kya Gul Us Ne
Jal Raha Tha Jo Diya Itni Hawa Hote Hoye
Wo Chehra Hath Mein Ley kar Kitab Ki Sorat
Hari K Lafz Har Ik Naqsh Ki Ada Dekhon
Muskarate Hoye Milta Hun Kisi Se Jo Zafar
Saaf Pehchan Liya Jata Hun Roya Hoya Main
Jisay Ab Tak Talash Karta Hun
Ghum Shuda Aik Yaad Hai Mujh Mein
Yahan Kisi Ko Bhi Kuch Hasb-E Aarzo Na Mila
Kisi Ko Ham Na Milay Aur Ham Ko Tu Na Mila
Wo Mujh Se Apna Pata Pochne Ko Aa Nikle
Keh Jin Se Mein Ne Khud Apna Suragh Paya Tha
Us Ko Bhi Yaad Karne Ki Fursat Na Thi Mujhe
Masroof Tha Mein Kuch Bhi Na Karne Ke Ba-Wajod
No comments:
Post a Comment