analatics //ads Zafer Iqbal urdu Ghazal - poetry web 2 //adds

Thursday 5 September 2019

Zafer Iqbal urdu Ghazal




Bas Ik Bar Kisi Ne Galay Lagaya Tha
Phir Us Ke Bad Na Mein Tha Na Mera Saya Tha
Gali Mein Log Bhi Thay Meray Uske Dushman Log
Wo Sab Pe Hansta Hoya Mere Dil Mein Aya Tha
Is Aik Shehr Mein So Dasht Ho Gaye Abad
Jahan Kisi Ne Kabi Karwan Lutaya Tha
Wo Mujh Se Apna Pata Pochne Ko Aa Nikle
Ke Jin Se Mein Ne Khud Apna Suragh Paya Tha
Mere Wajood Se Gulzar Ho Ke Nikli Hai
Wo Aag Jis Ne Tera Pairhan Jalaya Tha
Mujh Ko Taana Gharat Giri Na De Payare
Ye Naqsh Mein Ne Tere Hath Se Mitaya Tha
Usi Ne Rop Badal Kar Jaga Diya Aakhir
Jo Zihar Mujh Pe Kabi Neend Ban Ke Chaya Tha
Zafar Ki Khak Mein Hai Kis Ki Hasrat Tameer
Khayal-O Khwab Mein Kisi Ne Ye Ghar Bnaya Tha

No comments:

Post a Comment