analatics //ads Urdu Poetry - poetry web 2 //adds

Wednesday, 4 September 2019

Urdu Poetry


Sab Se Ameer 

Mana k tere Shehar mein hum se ghareeb kam honge. 
Agar biki teri Wafa to pehle kharidar hum honge.
Tujhe khabar na hogi apni qimat ki. 
Tujhe pa kr Sab se ameer hum honge.

Dil Ye kehta hai

Dhalti sham ka khula ehsas hai.
Mere “Dil” mein teri jagah kuch khas hai.
Tu nahi hai yahan maloom hai mujhe.
Par “Dil” ye Kehta hai tu yahiein aas pass hai.

Naam Aap Ka

Jab bhi khayal aaya to aap ka aaya.
Aankhe band ki to khuwab aap ka aaya. 
Socha Yaad karlo kisi apne ko. 
Pal pal Hont khule to naam aap ka aaya.

Qadam Se Qadam

Hamari galtiyon ko bhulate rehna
Zindagi bhar dosti nabhate rehna 
Agar hum na chal sake aap k saath 
To aap hi qadam se qadam milate rehna

Subah-o- Shaam

Meine kab chaha wo zindagi mere naam kare
Bus mujhe chahe itna sa kaam kare 
Har roz kuch lamhe mujhe socha kare
Kab kaha yaad mujhe Subah-o- shaam kare

Tera Pyar

Jee bhar k dekhon tujhe agar tujhe gawara ho
Betab meri nazrein hon aur pyar tumhara ho
Jan ki fikar ho na zamane ki parwa
Ek tera pyar ho jo bas hamara ho

Bin Mange

Tu jab bhi “Dua” kare.
Mera “Rub” tujhe who ata kare 
Teri jholi ho khushion se bhari 
Bin mange tujhe sab wo mila kare

Chahut ka Mausam 

Dil se zara dil mila lo chahut ka mausam aaya
Dilon mein pyar ke deep jala lo chahut ka mausam aaya
Yeh din chahton ka muhabton ka din hai jana'n
Apni chahat ka mujh ko phir yaqeen dila do chahut ka mausam aaya

Bari Dilruba ho Tum

Dil nasheen, dil kash bari dilruba ho tum
Kuch kuch shokh, kuch kuch chanchal bari khush ada ho tum
Resham zulfein, Chand chehra, Jheel si aankhein
Khushboo aaye gulab si, masal saba ho tum

Kahin dil Machal na jaye 

Kiun dekhti ho yun meri janib in situm baar nzron se
Dil mein halchal si machi hai kahin meri sans atak na jaye
Honton peh tabassum, Chehre pe shokhi, Aankhon mein shararut
Yun pyar se na dekho, kahin dil machal na jaye

No comments:

Post a Comment